Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

Jannah - Topics
Create Your Own App Store

* Jannah > Topics


Subject: Religions Topic
Replies: 166 Views: 3409
6-<< 2-< 1-> 7->>

aftab_23 26.01.11 - 05:46pm
Soche Hum Apni
Aakhirat Ki Zindagi Ko ...

Kya Payaa ... Kya Khoya ...

1) Film aaya - Ilm Gayaa ,

2) Doulat aayi - Muhabbat Gayi ,

3) Rishwat aayi - Halaal Gayaa ,

4) Cricket aaya - Kaam Gayaa ,

5) Bank aayi - Barkat Gayi ,

6) Fashion aaya - Hayaa Gayi ,

7) T.V. aaya - Nind Gayi ,

8) Mobile aaya - Mulaqat Gayi ,

9) Riwaz aaya - Sunnat Gayi ,

10) Gaana aaya - Tilawat Gayi ,

11) Laalach aaya - Sukun Gaya ,

12) Tusion aaya - Madarsha Gaya *

aysha111 27.01.11 - 01:14pm
MashaAllah Aftab ji. *

aftab_23 27.01.11 - 05:05pm
SACHIBAAT

Jab kisi par bhi ehsaan karo to usse badle ki ummid mat rakho

yahan tak ki shukr guzari ki bhi ummid na rakho.. *

mohsin14 30.01.11 - 05:35am
Huzure akdas (s.a.w) ka pak irshad he ke allah jall sanuhu do sakhso par bada taajjub farmate he,yani usse bahut razi hote he............
1) ek wo sakhs jo apne naram naram bistar par lihaf ke under mehbuba biwi ke sath lipta hua leta ho or ekdam basasat ke sath vahase uthkar namaz ke liye khade ho jaye..haq taala sanuhu farishto ke samne us sakhs par tafakhur farmate he.....,
2) dusra wo sakhs jo laskar ke sath milkar jehad me sirkat kar raha ho, or wo laskar sikast khakar bhagne lage or usmese koi sakhs bhagne me allah jall sanuhu ka khof kare or tane tanha vapas ho kar mukabala kare hatta ke sahid ho jaye. To haq taala sanuhu irshad farmate he ke dekho mera ye banda mere inaamat me ragbat or meri narazgi ke khofse lauta hatta ke uska khun bhi baha diya gaya.....
..........(MISKAT).......... *

mohsin14 30.01.11 - 05:44am
Huzure akdas(s.a.w) ka irshad he ke jab aadmi ki nazar kisi auvrat(lady) ke husn par pad jaye or wo fauran apni nazar ko usse hata le to haq taala sanuhu unko aisi ibadat ki taufik ata farmate he, jiski lazzat usko mehsus hoti he....
.........(MISKAT)........ *

aysha111 30.01.11 - 06:35pm
AllahuAkbar *

aftab_23 31.01.11 - 10:39am
Quran (sure hamzah)

ek jagah irshad hai :

Har aise sakhs k liye badi khrabi hai jo aib nikal ne wala aur tanaa dene wala ho ! *

aftab_23 1.02.11 - 12:10pm
RahmateAalam Nabi s.a.w ne frmaya:
MUNKASIR (halka) MIJAZ AUR SAADA LIBAAS PAHENNE WALE INSAN KO ALLAH BAHOT MEH RAKHTA HE.
(baihaki) *

aftab_23 2.02.11 - 05:05pm
HzrT abdullah (r.d.) riwayat karte H ki Rasulullah (s.a.w.) ne irshad frmaya :

Musalman ko gaali dena bedini aur Qatal karna kuf 'fra H !
(bukhari) *

mohsin14 3.02.11 - 04:23am
Ek hadish sarif me hamare aaka muhammad (s.a.w) ne irshad farmaya....aayat....KULLU MUHDASATIN BIDATUN V KULLU BIDATIN FINNAR....tarzama....din-a islam me koi nayi ibadat ya koi naya riwaz lana bidat he or har bidat dozakh(jahannum) me le jane ke liye sabab bante he...
MUSLIM SARIF..1/76,...NASAI SARIF....AL ITISAM *

mohsin14 4.02.11 - 11:41am
Bahut si ahadish me ye irshad he ke aurat ke liye safar najaiz he,us waqt tak ke uske sath koi mahram na ho....
1 hadish he ke mard hargiz kisi ajnabi aurat ke sath tanha makan me na rahe or koi aurat hargiz bagair mahram ke safar na kare....(miskat)
1 hadish me varid hua he ke aurat parde ki chiz he.jab wo ghar se nikalti he, to saitan uske pichhe lag jata he or uski fikar me rehta he...
1 hadish me he ke jis jagah tanha ajnabi mard-aurat honge, tisra sakhs waha saitan hoga.(miskat)
1 hadish me he ke (na-mahram) aurat ke pas jane se bahut bacho. Kisine arz kiya ke huzur (s.a.w) ! Agar dewar ho? Huzur (s.a.w) ne farmaya ke dewar to maut he..(miskat)
maut hone ka matlab ye he ke uske liye halakat ke asbab bawajah har waqt ke kurb ke bahut zyada paida ho sakte he.is kism ki bahut si vaide ahadish me varid he or safar me basa aukat ajnabi mardo ke sath tanha makan me reh janeki nobat aa jati he or bagair mahram ke to safar jaiz hi nahi, chahe tanha rehne ki nobat aaye ya na aaye. Pas is surat me neki barbad, gunah lazim ka kissa ho jata he... *

aysha111 5.02.11 - 03:59am
JazakAllah *

aftab_23 7.02.11 - 04:54am
Jo shakhs is baat ko pasand karta he k uske rizk me barkat ho or uski umar jyada ho to usko chahiye k SILA-RAHMI kiya kare ..
(bukhari, muslim) *

aftab_23 8.02.11 - 03:53am
Agar Allah Ne Tumhe Khush-Haal (Prosperous) Banaya Hai Tou Uska SHUKR Adaa Karo Aur Agar Bad-Haal (Destitute) Ho Tou ASTAGFAAR Karo ! *

aysha111 8.02.11 - 05:59am
MashaAllah aftab ji, apka topic bahut he acha hai. *

mohsin14 8.02.11 - 09:03am
hazrat abu umama bahili (r.a) rivayat karte he ke rasulullah (s.a.w) ne irshad farmaya : logo ! ilm ke vapas liye jane or utha liye jane se pahle ilm hasil karlo..(musnade ahmad) *

aftab_23 9.02.11 - 03:12am
Zhjakallah Aysha apki dua se H ..

HzrT abu Huraira (R.d.) Riwayat karte H k Rasulullah (S.a.w.) ne irshad frmaya ..

Munafiqin par sab se jyada bhari Isha Aur Fazar ki Namaj hai .. ( Muslim ) *

aftab_23 9.02.11 - 03:13am
Hadish :

Huzur Salallahu Allyhi Wasallam se nakal kiya gaya H k jo sakhs Namaj ko Kaza kar de, Go wah Ba'ad mai padh bhi le, Phir bhi apne Waqt par na padhne ki wajah se Ek Hukab Zahannam mai jalega Aur Hukab ki mikdar (80) baras ki hoti H

Aur Ek baras 360 din ka Aur Qiyamat ka Ek din 1 hajar baras ki baraabar hoga ,

Is hisab se Ek Hukab ki mikdar 2 karod 88 lakh baras ki huyi .. *

aftab_23 9.02.11 - 03:16am
Quran - pak ki aayat h jiska manqul h k wah sone ki ek takhti thi , e sat satre likhi hui thi , jinka tarjama yah H ..

Mujeh ta'ajub H uss sakhs par jo Mout ko janta ho Phir bhi hasein,

Mujeh ta'ajub H uss sakhs par jo yah janta ho k Duniya aakhir ek din Khtma hone wali H Phir bhi usmein Ragbat kare,

Mujeh ta'ajub H uss sakhs par jo yah janta ho k har Chij muqqadar se H Phir bhi kisi Chij k jaate rehne par Afsos kare,

Mujeh ta'ajub H uss sakhs par jisko Aakhirat mai Hisab ka Yaqin ho Phir bhi Maal jamaa kare,

Mujeh ta'ajub H uss sakhs par jisko Jahannam ki Aag ka Ilm ho Phir bhi Gunah kare,

Mujeh ta'ajub H uss sakhs par jo Allah ko janta ho Phir kisi Aur Chij ka Zikr kare,

Mujeh ta'ajub H uss sakhs par jisko Jannat ki khbar ho Phir Duniya mai kisi Chij se Raahat pae,

Baaz Nuskho mai yah bhi H k

Mujeh ta'ajub H uss sakhs par jo Saitaan ko dusman samje Phir bhi uski Ita'at kare .. *

aftab_23 11.02.11 - 12:55pm
Jab DUA Aur KOSHISH Se Baat Na Bane To
Faisla ALLAH Par Chhod Do,
Beshak!
ALLAH Apne Bando Ke Liye Behtar Faisla Karne wala Hai ..
HzrT Ali (r.d.) *

mohsin14 13.02.11 - 04:19am
HAZRAT ABU HURAIRA (R.A) RIVAYAT KARTE HE KE RASULULLAH (S.A.W) NE IRSHAD FARMAYA : fkRA YANI GARIB,MALDAR SE AADHE DIN PAHLE JANNAT ME DAKHIL HONGE OR IS AADHE DIN KI MIKDAR 500 BARAS(YEAR) HOGI..(TIRMIZI) *

mohsin14 13.02.11 - 04:28am
HAZRAT JABIR (R.A) SE RIWAYAT HE KE RASULULLAH (S.A.W) NE IRSHAD FARMAYA : TIN KHUBIYAN JIS SAKHS ME PAI JAYE ALLAH TAALA (KAYAMAT KE DIN) USKO APNI RAHMAT KE SAYE ME JAGAH ATA FARMAYENGE OR USE JANNAT ME DAKHIL KAR DENGE..KAMZORO SE NARM BARTAO KARNE WALA, WALIDEN SE MAHERBANI KA MAMLA KARNA OR GULAM SE ACHCHHA SULUK KARNA..(TIRMIZI) *

mohsin14 13.02.11 - 10:56am
Hazrat jabir (r.a) se rivayat he ke rasulullah (s.a.w) ne irshad farmaya : tum sab me muje jyada mahbub or kayamat ke din sab se karib wo log honge jinke akhlaq jyada achchhe honge..(TIRMIZI) *

mohsin14 13.02.11 - 11:06am
hazrat abu hurera (r.a) rivayat karte he ke rasulullah (s.a.w) nr irshad farmaya : tum jannat me nhi ja sakte jab tak momin na ho jao(yani tumhari zindagi iman wali zindagi na ho jaye)or tum us waqt tak momin nhi ho sakte jab tak aapas me ek dusre se muhabbat na karo. kya me tumhe wo amal na bata du jiske karne se tumhare darmiyan muhabbat paida ho jaye?? (wo ye he ke) SALAM ko aapas me khub felao...(MUSLIM) *

mohsin14 13.02.11 - 11:11am
hazrat ali (r.a) farmate he ke mene rasulullah (s.a.w) ko ye irshad farmate hue suna : jo musalman kisi musalman ki subah ko iyadat(bimar pursi) karta he to sham tak 70000 farishte uske liye dua karte he or jannat me ek bag mil jata he..(TIRMIZI) *

mohsin14 13.02.11 - 11:17am
hazrat muhammad bin amr bin hazam (r.a) rivayat karte he ke nabi-a-karim (s.a.w) ne irshad farmaya : jo momin apne kisi momin bhai ki musibat me use sabr v sukun ki talkin karega allah taala kayamat ke din use izzat ka libas pehnayenge...(IBNE MAZA) *

mohsin14 13.02.11 - 11:28am
hazrat ubada bin samit (r.a) se rivayat he ke rasulullah (s.a.w) ne irshad farmaya : jo sakhs hamare bado ki tazim na kare,,hamre bachcho par raham na kare,,or hamare aalim ka haq na pehchane wo meri ummat me se nahi he...(MUSNADE AHMED,TABRANI) *

aftab_23 18.02.11 - 06:41am
Ima.shaf'ee rh :
Gunah ke irade k baad jo shkhs khofe khuda se gunah se ruk gaya-ke me allah ko kiya munh dikhawunga- us ka thikana jannat h .. *

aftab_23 19.02.11 - 11:24am
HASAD KE SATH RAHAT NAHI/INTEQAM KE SATH SARDARI NAHI/BE-ADABI KE SATH BUZURGI NAHI/NA-FARMANI KE SATH FALAAH NAHI ..
HAZRAT-ALI-RAZI-ALLAH-ANH *

1sallu14 22.02.11 - 05:13am
Allah ta'ala ka irshad he : or tum log jan ke sath mal bhi allah ke raste me kharch kiya karo(or jihad se ji chura kar) apne aapko apne hatho halakat(tabahi) me na dalo, or jo kam bhi karo achi tarah kia karo, beshak allah tala achi tarah kam karne walo ko pasand farmate he..(sure bakarah) *

aftab_23 2.03.11 - 10:58am
NABI sallalahu alayhi wasallam ne farmaya
Dhoka dene wala, Kanjoos aur Ehsan jatane wala Jannat me Dakhil nahi hoga .
TIRMIZI SARIF *

mohsin14 5.03.11 - 05:23pm
Hazrat abdullah bin amr (r.a) nabi a karim (s.a.w) ka irshad nakal farmate he..raham karne walo par rahman raham karta he..tum zamin walo par raham karo aasman wala tum par raham karega.....(abu daud) *

mohsin14 6.03.11 - 05:57am
Hazrat abu huraira (r.a) rivayat farmate he ke rasulullah (s.a.w) ne irshad farmaya : beshak allah ta'ala tumhari surto(chehra) or tumhare malo dolat ko nhi dekhte balke tumhare dilo ko or tumhare aamal ko dekhte he (muslim) *

aftab_23 13.03.11 - 03:10pm
Hazrat aaysha (r.a) riwayat karti he ke rasulullah (s.a.w) ne irshad farmaya...kamil tarin iman walo me se wo sakhs he jiske akhlaq (character) sabse ache ho or jiska bartao apne gharwalo ke sath sabse jyada narm ho..(tirmizi) *

aftab_23 15.03.11 - 07:33am
Namaj chhod ne par Nuksan kya hai ? ...
Fazar ki Namaj :
Chhod ne se Chehre ki Ronak Khtm hojati hai ..
Zohar ki Namaj :
Chhod ne se Rizq mai Barqat Khtm hotaji hai ..
Asar ki Namaj :
Chhod ne se Tandurusti Khtm hojati hai ..
Magrib ki Namaj :
Chhod ne se Aoulaad naafarman
hojati hai ..
Isha ki Namaj :
Chhod ne se Nind ki Raahat Khtm hojati hai .. *

aftab_23 16.03.11 - 12:23am
Plz frnd edit Zizq nt Rizq me Barkat ok thnx buddy dua me yaad *

aftab_23 16.03.11 - 12:23am
Namaj na padhne K nuksanaat :

Duniya ki 6 sajayein :

Allah uski Umra se Barqak khtm kar denga

Allah uske Chehre se Nooraniyat chhin lenga

Allah use kisi Amal ka azzra - w - nahin denga

Uski koi Dua Aasmaan tak buland nahi hongi

Naik logo ki Dua mai uska koi hissa na honga

Allah logo K saamne use jalil - w - khwar karega

Mout K waqt ki 3 sajayein :

Jalil hokar Marega

Bhukha Marega

Marte Waqt pyasa Marega

Kabar ki 3 sajayein :

Uski Kabar Tang kardi Jayeingi

Usper Kabar mai ajdahaa (snake) musallat kar diya jayeinga Jo humesha dasta rahega

Uske kabar mai Aang bhadkayi jayeingi

Kabar se uthne K baad ki 3 sajayein :

Allah usper Jahannam ka ek baadal musallat karega Jo use Jahannam K taraf haankar la jayeinga

Hishab K waqt Allah uski taraf Gajabnaak najar daleinga

Uska hishab sakhti se liye jayeinga Aur Jahannam mai daal diya jayeinga ..

Allah hum sab ko Aur puri Ummat ko 5 waqt ki Namajo ki pabandhi karne ki toufiq ataa kare ... Aamin sum - e - Aamin *

aftab_23 20.03.11 - 03:03am
Allah ta'ala ko 3 cheezein bahut pasand hai...

1. Garmi mein roza..

2. Sardi mein wazu..

3. Jawani mein ibadat.. *

aftab_23 20.03.11 - 03:03am
Allah ta'ala ko 3 cheezein bahut pasand hai...

1. Garmi mein roza..

2. Sardi mein wazu..

3. Jawani mein ibadat.. *

aftab_23 2.04.11 - 06:29pm
Aap sallalahu a.w ne farmaya,
Mene Qabar se zyada sakht ghabrahat wali jagah or koi nahi dekhi. (Tirmizi) *

aftab_23 3.04.11 - 04:27am
Aaj duniya me amal he, hisaab nahi, kal Qayamat me hisaab hoga amal nahi. Hisaab ki fikar karte huwe achchhe aamal karo . *

mohsin14 5.04.11 - 09:52am
1 hadish me huzur (s.a.w) ka irshad he ke us waqt haq ta'ala sanuhu ki taraf se irshad hoga, ay jino ins (ay jinnat or insano) ! Mene duniya me tumhe nasihat kar di thi. Aaj tumhare ye aamal tumhare samne he. Jo sakhs apne aamalname me bhalai paye wo allah tala ka sukr ada kare. Or jo neki na paye wo apne aap hi ko malaamat kare.(ke nasihat ki bat na mani). Uske bad haq ta'ala jahannam ko hukam farmayenge. Uska azab samne aa jayega. Jise dekh kar har sakhs ghutno ke bal gir jayega. Jisko surah jasiyah rukuh no. 4 me irshad farmaya he ke tu har jamat ko dekhega ke ghutno ke bal giri hui he, or har jamat apne aamalname ki taraf bulayi jayegi. Uske bad logo ke darmiyan fesle suru ho jayenge. Hatta ke janwaro tak ke darmiyan me insaf kiya jayega.or do singwali bakri ke liye singwali bakri se badla liya jayega.uske bad janwaro ko hukam ho jayega ke tum mitti ho jao. (tumhara mamla khatam ho gaya.) usi waqt kafir log tamanna karenge..YA LAYTANI KUNTO TURABA kash me mitti ho jata...
(fazael sadkat) *

mohsin14 5.04.11 - 09:55am
Hazrat sakfi (r.a) kehte he ke mene hazrat abdullah ibne mas'ud (radiallahu anhu) se SABBEHISM padhne ki darkhwast ki, unho ne padhna suru kiya or jab BALTUSIRUNAL HAYATAD DUNIYA VALAAKHIRATU KHAIRUVVA'ABKA par pahuche, jiska tarjuma ye he ke TUM DUNIYA KI ZINDAGI KO TARJIH DETE HO,HALAKE AAKHERAT ZIYADA BEHTAR OR HAMESHA REHNEWALI CHIZ HE. to hazrat ibne mas'ud (r.a) ne tilawat ko band karke farmaya ke beshak hamne duniya ko aakherat par tarjih dedi.sab hajerin khamos the.fir dobara farmaya ke hamne duniya ko tarjih dedi. Is liye ke hamne uski zaibo zinat ko dekha, uski aurto ko dekha,uske khane pineko dekha. Or aakherat ki ye sab chize hamse posida thi.is liye duniya ko tarjih de bethe. Or aakherat ko chhod diya..(fazael sadkat). *

mohsin14 5.04.11 - 09:57am
Hazrat ma aayesha (radiallahu anha) ek martaba jahannam ko yad karke rone lagi.huzur (s.a.w) ne farmaya kya bat hui.kyu ro rahi ho. Aayesha (r.a) ne farmaya muje JAHANNAM yad aa gayi. Is par ro rahi hu. Aap us din apne ahlo ayaal ko yad karenge ya nhi ? Huzur (s.a.w) ne farmaya tin waqt to aise he jinme kisiko koi yad nhi karega..
1) TARAZU KE WAQT. (JAB AAMAL KE TOLNE KA WAQT HOGA.) YAHA TAK KE USKO MALUM NA HOJAYE KE USKA (NEKIYO KA) PALLA ZUK RAHA HE YA NHI.
2) JAB YE ALAN HOGA KE AAO APNE APNE HISAB KI KITAB LE LO, TO US WAQT KOI KISI KO YAD NHI KAREGA..JAB TAK KE YE NA MALUM HO JAYE KE USKA AAMALNAMA DAYE HATH ME MILTA HE, YA PUST KE PICHHE SE BAYE HATH ME MILTA HE.
3) PUL SIRAT KE WAQT, JAB KE WO JAHANNAM PAR BICHHAI JAYEGI.(OR US PAR CHALNA HOGA.) JAB TAK KE AADMI US PAR KERISAT SE NA GUZAR JAYE...
(FAZAEL SADKAT) *

aftab_23 14.04.11 - 12:49am
Duniya : K liye itni mehnat kar jitna tuje yahaan rehna hai ..

Aakhirat : K liye itni mehnat kar jitna tuje wahaan rehna H ..

Gunaah : Itna kar jitna tujme Aazab sehne ki taaqat hai ..

Shirf : Uss jaat se maang jo kisi ka Mohtaaz nahi hai ..

Jab : Tu gunaah kare to aisi jagah ja jahaan tujeh Allah na dekhien .. *

rahebar 8.05.11 - 05:58pm
..... PAANI ..... Aasman ki taraf uthe to BHAAP. Aasman se niche aaye to BARISH, Jum kar gire to OLEY, Gir kar jame to BURF, Phool ki patti par ho to SHABNAM, Patti se nikle to ARAQ, Jama ho jaye to JHEEL, Beh jaye to NADI, se nikle to PASEENA, Aankhon se nikle to AANSU, Hazrat Ismaeel (A.S) Ke qadmo se nikle to AAB - E ZAM ZAM, Aur Mohammad (S.A.W) Ki ungliyo se nikle to AAB - E KAUSAR ....! @@ subhnallah @@ *

rahebar 8.05.11 - 06:28pm
-- Qasam khana -- Aaj mashre k andar baat baat per qasam khae jati hai. jaisa k maa ki qasam baap ki qasam , teri qasam , meri qasam waqera waqera. laikin kya hum kesi k naam ki qasam kha saktey hain kya? Sahaba se jo baat sabeet hai wo ye k hum sirf ALLAH Ki qasam kha sakte hain wo bhi sangeen koe maslah ho to . Allah k alawa kesi k bhi naam say qasam khana qalat hai.....! *

1_zain_1 11.05.11 - 06:44pm
Gd topic gd posts.congrates to all... *

rahebar 11.05.11 - 08:10pm
Thanks zain brother rose.GIF *

rahebar 13.05.11 - 03:28am
Dunya k aye musafir manzil teri khabar hai, tay karraha hai jo tu do din ka ye safar hai. *** Dunya k aye musafir manzil teri khabar hai. *** Jab say bani hai dunya lakhon karodoo aye, bakhi raha na koi mitti mein sab samaye, is baat ko na bhulo sab ka yahe hasher hai. ***Dunya k aye musafir manzil teri khabar hai. ***Ye alishan bangle kesi kaam k nahe, mahlo mein soonay walay mitti mein soo rahay hain, do gazz zameen ka tukda chota sa tera ghar hai. ***Dunya k aye musafir manzil teri khabar hai.*** Aankho say tu ne apni dekhe kaee janazay, haato say tu ne apne dafnaye kitne murday, anjam se tu apne kyn itna be khabar hai. *** Dunya k aye musafir manzil teri khabar hai....****************** *

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* Jannah Forum


Search:
topics replies


* Jannah

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store