Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

Jannah - Topics
Create Your Own App Store

* Jannah > Topics


Subject: ~~@Urdu Ghazale@~~
Replies: 161 Views: 3842
6-<< 2-< 1-> 7->>

sohel77 4.06.11 - 04:51pm
wah bhai kya bat hai. *

aysha111 5.06.11 - 01:52am
clap3.GIF rahebar ji. *

sohel77 5.06.11 - 03:23am

Uss Ada Se b Hon Main Aashna,Tujhy
Itna Jis Pe Garoor Hai,
Main Jiyun Ga Tere Bagair b ,Mujhy
Zindagi ka shaor Hai ,
Na Hawas Mujh Men Janab Ki,Na
Talab Saba -o - Shabab Ki,
Tere Chashm- e- Naaz Ki Khair
Ho ,Mujhy Bin Piye Hi Saroor Hai ,
Jo Samajh Le Mujhy Bewafa ,Tu Iss
Men Meri Kia Khata,
Ye Khayaal Hai Tere Dimag Ka,Ye Teri
Nazar Ka Qasur Hai,
Main Nikal k b Tere Naam Se, Na Giron
Ga Apne Maqaam Se,
Main Qateel. e. Sitam Sahi
FAISAL ,Mujhy Tum Se Ishq Zaroor
Hai ... *

aysha111 5.06.11 - 06:02am
Very nice. U guys r rocking. rocker.GIF *

saba_222 5.06.11 - 12:40pm
@*** GAZAL **@@ AYSHA K NAM @Aesi bi muhbbt ki saza deti hay dunya ,Mar janyen tu jeeny ki duaa deti hay dunya !!@!!Ham kaonse MOMIN thy jo ilzaam na sehty ,Pathar ko bhgwan bana deti hay dunya !!@!!Ye zakham muhbbt ka hay dekhana na kisi ko,La kar sar-e-bazar saja deti hay dunya !!@!!Kismat pe kro naaz na etna faqero ,Hathon ki lakeron ko mita deti hay dunya !!@!!Marny k liye karti hay majbor tu lekan ,Jeeny k tareeky bi sikha deti hai dunya !!@!!Aesi bi muhbbt ki saza deti hay dunya ! *

aysha111 5.06.11 - 12:56pm
shy.GIF saba ji thanx. *

sohel77 5.06.11 - 02:34pm
bahot khub hai ye dunya.
nyc sharing saba. *

rahebar 5.06.11 - 02:37pm
Saba ji bahot umda ghazal hai. woooow. *

saba_222 5.06.11 - 02:50pm
AYSHA , SOHEL N REHBAR sb frnds ka thanks k apne howsla afzai ki n GAZAL pasand ki so much thankx ! *

aysha111 5.06.11 - 03:04pm
hug.GIF come here ma sis @ saba *

sohel77 5.06.11 - 03:15pm

Teri sanson mein gulabon ki mehak
lagti hai ,
*
Husn jis rang mein ho teri jhalak
lagti hai ,
*
Sham hote hi nigahon mein utar aati
ho,
*
Dil ki dharkan tere peron ki
dhamak lagti hai,
*
Jaise guzri ho abhi tu mere darwaze
se,
*
Ab hawa bhi teri payal ki khanak
lagti hai ,
*
Is liye chand tere husn ka garveeda
hai ,
*
Tere paikar mein un ankhon ki
chamak lagti hai ,
*
Jane kyoun wo meri aankhon ko
bhala lagta hai ,
*
Jis k chehre pe zara teri jhalak lagti
hai.

*

rahebar 5.06.11 - 03:34pm
Bahot badhiya sohel bhai aap to bahot Romantic mud mein aagay. *

sohel77 5.06.11 - 06:42pm
Oye nahi mere yara aaj din bahot acha hai. *

smam 5.06.11 - 08:11pm
wah kya baat hai bahutqub....
.tere sanso main gulabo ki mahek lagti hai. .

bahut hi achi pyari gazal hai

sach main jiske liye bhi likhi hui hogi wo bhi gazal jaise hi hogi.

. *

smam 7.06.11 - 04:36am



Saath Rooti Thi Mere Saath Hansa Karti Thi,
Wo Larki Jo Mere DiL Mei Basa Karti Thi.

Meri Chahat Ki Talabgar Thi Is Darja Kay,
Wo Musalley Pay Namazon Mei Duaa Karti THi.

Ek Lamhey Ka Bicharna Bhi Giran Tha USko,
Rootey Huwe Mujhko Khud Se Juda Karti Thi.

Mere Dil Mei Raha Karti Thi Dhadkan Ban Kar,
Or Saaye Ki Tarha Saath Raha Karti Thi.

Rog Dil Ko Laga Bethi Anjaney Mei,
Meri Aaghosh Mei Marne Ki Duaa Karti Thi.

Baat Qismat Ki Hai Sirf Juda Ho Gaey Hum,
Warna Wo Toh Mujhey Taqdeer Kaha Karti Thi.. *

rahebar 7.06.11 - 04:48am
Wo ladki jo mere dil mein basa karti thi.....oye chaa gaya yaaaaar......smam bhai bahot badhiya ghazal. *

rahebar 7.06.11 - 04:53am

Abhi Raat K Diye Jaley
Hain,
Abhi Taaron K Kaarwan
Chaly Hain,
Abhi Hawa Ne Aachal
Lehraya Hai !
Abhi Chand Ne Chehra
Dikhaya Hai,
Kuch Wisal Ki Baat Honey
Do,
Chalo Aadhi Raat Honey
Do,
Phir Dil Ko Be-Qarar Hona
Hai,
Tab Aankh Ko Meri Sona
Hai !
Phir Raat Chaly Gi,
Baat Chaly Gi,
Phir Yaadon Ki Barat Chaly
Gi,
Phir Khawab Nagar Main
Basera Ho Ga,
Phir Subha Talk Wo Mera
Hoga !,
PHIR SUBHA TALK WO MERA
HOGA..



*

rahebar 7.06.11 - 04:57am
Suno tum laout aao na
Mery darr ki fizaon nay
Sabhi thandi hawaon nay
Mery weeran raston nay
Meri pyasi nigahon nay
Sabhi baghon ki kaliyon nay
Mery gaoon ki galliyon nay
Meri saada C khawahish nay
Meri shab kay sitaroon nay
Sabhi dil-kash nazaron nay
Inhi saawan kay jhoolon nay
Meri guzri baharon nay
Meri ghazloon nay
Meray geeton nay
Mery lafzon ki reeton nay
Meri sochon kay mehwar nay
Meray her dil ki dharkan nay
Tumhari aarzoo ki hai
Tumhi ko sirf chaha hai
Tumhari just-joo ki hai...
*

smam 7.06.11 - 05:44am
wah rahebar bhai bahut qub. ..kya baat hai. ..dusri wali poem itni achi hai ke usko zubani yaad karne ko dil chahta hai. ..bahut hi qubsutrat andaz aur dard hai. ...chahat ka izhar karne ki ke liye sab se acha substitution hai ye. .

bahut qub aisa hi gazle aur nazmain share karte rahiye janab. . *

smam 7.06.11 - 05:46am
rahebar khan sahab aapki pesh qidmat hai ye gazal

pasand aaye to kehna



Mohabbaton ki ye wardaten koi sune ga to kya kahe ga

Ye bahki bahki hamari baten koi sune ga to kya kahe ga

Raqabaton ki qayamaton se khandaren tabdeel ho rahi hain

Hamari chahat ki kaynaten koi sune ga to kya kahe ga

Tumhare Khat se ye lag raha hai ki rote rote likha hai tumne

Ye ankahi si tumhare baten koi sune ga to kya kahe ga

Hami hain mazloom hum hi hian zalim hami hain maqtool hami hain qatil

hami hain mohre hami hain baesaten koi sune ga to kya kahe ga

tere tasawur ka aana jana mere takhayyul ki wadiyon me

Beghair dhole ki ye baraten koi sune ga to kya kahe ga
*

rahebar 7.06.11 - 06:14am
Wah smam bhai aap k to kya kahne.....bahot hi umda ghazal pesh ki aap ne....bhai aap to bahot mahir hai shayri k wah wah. *

sohel77 7.06.11 - 06:26am
rahebar bhai n samam bhai bahot qub kya bat hai. *

sohel77 7.06.11 - 06:31am


Main lafzon se kuch bhi izhar nahi karta
Iska Matlab ye to nahi ki main tujhe pyar nahi karta

Chahta hu main tujhe aaj bhi
Par teri soch me apna waqt bekar nahi karta

Tamasha na ban jay meri Mohabbat kahin
Isliye apne dard ko Aashakar nahi karta

Jo kuch Mila hai Usi me khush hun
Tere liye Khuda se takrar nahi karta

Par kuch to baat hai teri fitrat me zalim
Warna tujhe chahne ki Khata baar baar nahi karta
*

rahebar 7.06.11 - 06:57am
Main lafzon se izhar nahi karta....wow kya baat hai sohel bhai bahot qub.....,per main to lafzon se he izhar karta hon....ha ha ha.its joking. *

rahebar 8.06.11 - 05:22am

Saza Pe Chor Diya, Raza Pe
Chor Diya,
Ab Her Ek Kaam Ko Humne
Khuda Pe Chor Diya.
Wo Hum Ko Yaad Rakhe Ya
Phir Bhula De,
Ussi Ka Kaam Tha Uski Raza
Pe Chor Diya.
Ab Uski Marzi Bhuja De Yaa
Jala De,
Charagh Humne Jala Ke Hawa
Me Chor Diya.
Ab Usse Baat Kiye Begair Kaise
Rahenge Hum,
Ye Masla Dua Ka Tha So Dua Pe
Chor Diya.
Is Liye To wo Kehta Hain
Dewana Hum Ko,
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa
Pe Chor Diya.
*

aysha111 8.06.11 - 05:29am
Good one. *

sohel77 8.06.11 - 07:21am
nyc ghazal bhai. *

aysha111 9.06.11 - 06:39pm
Dil ki tanhayiyon se zindagi ke raaste nahin kat te,
tumhare bina hamari tanha raatein nahin kat te.
Tumne to apne dil ko rakh diya hai us shaher mein,
Jiske raaste hamari manzil tak nahin pahonjhte.
Apne dil ke raaston ko aise band matkaro,
kyunki usi ki raah se hamari bhi saansein hai guzarte.
Itna rooth kar kaha jaaoge humse,
Aap ke raaste to hamari hi manzil par aaker rukte *

aysha111 9.06.11 - 06:40pm
Kya keh gayi kisi ki nazer kuch na poonchie
Kya kuch hua hai dil pe aser kuch na poonchie.
Wo dekhna kisika kanakhion se baarbaar
Wo baar baar uska aser kuch na poonchie.
Ro ro ke kis tareh se kati raat kya kahen
Mer mer ke jee hai saher kuch na poonchie
Akser khyaale husna main pauche hai mer ke hum
Kyon ker hua hai taye ye safer kuch na poonchie. *

aysha111 9.06.11 - 06:41pm
Mohabbaton ki ye wardaten koi sunega to kya kahe ga
Ye bahki bahki hamari baten koi sune ga to kya kahe ga
Raqabaton ki qayamaton se khandaren tabdeel ho rahi hain
Hamari chahat ki kaynaten koi sune ga to kya kahe ga
Tumhare Khat se ye lag raha hai ki rote rote likha hai tumne
Ye ankahi si tumhare baten koi sune ga to kya kahe ga
Hami hain mazloom hum hi hian zalim hami hain maqtool hami hain qatil
hami hain mohre hami hain baesaten koi sune ga to kya kahe ga
tere tasawur ka aana jana mere takhayyul ki wadiyon me
Beghair dhole ki ye baraten koi sune ga to kya kahe ga *

aysha111 9.06.11 - 06:41pm
Chahat ke paimane hue tere dar ke kareeb
Wo bhi aaj aye the mere ghar ke kareeb
Mai charag banke unke sath sath raha
Wo na samjhe mai raha kyu har ke kareeb.
Kuch hume bhi intezaar hai aapki fursat ka
Chahta hu koi hadsa ho jaye meri kudrat ka
Aap jaha bhi hume dekh sake bol sake sab
Wo jagah ho umeed-e-nishan-e-mohabbat ka *

rahebar 9.06.11 - 06:55pm
Wah ayesha jeeee bahot qub bahot umda ghazle hain charo bhi aap ki. *

sohel77 9.06.11 - 07:32pm
wah kuch na puchye. *

smam 10.06.11 - 06:36pm
wow very nice poetry. .

keep sharing ayesha ji *

smam 10.06.11 - 06:40pm


Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye

Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye

Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye

Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye

Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye *

rahebar 10.06.11 - 06:44pm
Samam bhai bahot qub bahot badhiya wow. *

sohel77 10.06.11 - 06:44pm
ncy Ghazal samam bhai. *

sohel77 10.06.11 - 06:45pm
Unko tasavoorat me aane nahi diya
Halat ne ye lutf uthane nahi diya
Gam mere sath sath bahut door tak gaye
Sikwa magar Zaban pe aane nahi diya
Dastaar gir gai to gire sar to bach gaya
kuch behiso ko zarf khuda ne nahi diya
Tha kitna dil shikan teri yadoon ka marhala
Aankhon ko phir bhi ashk bahane nahi diya
Majbooriyon ne pao mein zanjeer daal dee
Hamne khusi se apko jane nahi diya
Mai khud hi apni rah ka pathar bana raha
Aisa nahi sath dua ne nahi diya. *

rahebar 10.06.11 - 07:34pm
Superb sohel bhai. *

rahebar 11.06.11 - 05:53am

Belaus muhabbat ka ye
andaz rahey ga
khamosh sa lehja pas-e-
awaz rahey ga
weeraney me sadiyon se
chupa aik khazana
tu dil me sada ban ke
yunhi raaz rahey ga
har sham damak uthey gi
yaadon ki chamak se
har subah terey naam se
aagaz rahey ga
jab tak dil-e-pursoz ka
likha hae dharakna
darkhan me terey dard ka
aijaz rahey ga
urta hae khayal aur tujhey
chu nahi sakta
nakaam safar haasil-e-
parwaaz rahey ga.
*

sohel77 11.06.11 - 09:24am
bhot khub bhai. *

smam 12.06.11 - 11:19am


Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo,
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,

Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil
Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo

Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan,
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo

Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai
Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo

Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo.. *

rahebar 12.06.11 - 12:05pm
Wow samam bhai baarsaton k mousam mein baarsaton ki baaten badhiya hai. *

parvaiz1 12.06.11 - 04:01pm
Yaadai'n jaag jati hyn
Barisho'n k mausam main

Har ghari satati hyn
Barisho'n k mausam main

Shaambhi kisi surat
Chain se nahi kat'ti

Subhai'n bhi satati hyn
Barisho'n k mausam main

Zehen k jharokey main
Jab koi sada ubhrey

Aankhai'n bheeg jati hyn
Baarisho'n k mausam main
*

sohel77 14.06.11 - 06:41am
nyc parvaiz bhai. *

rahebar 14.06.11 - 07:16am

Kaisay kahoon k apna bana
lou mujhey
bahoun mein apni sama lou
mujhey
Bin tumharey aik pal bhi ab
kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura
lou mujhey
Zindagi tou woh hai sang
tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab
chura lou mujhey
Meri sab say gehri khuwahish
hou puri
Tum agar pass apnay bula lou
mujhey
Yeh kaisa nasha hai jou behka
raha hai
Tumhara hoon mein tou
sambhalo mujhey
Najanay phir kaisay guzrey gi
zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum
nikalo mujhe.
*

sohel77 14.06.11 - 07:23am
momin1.3.gif
Asar Usako Zaraa Nahi Hotaa,
Ranj Raahat Fazaa Nahi Hotaa.
.
Tum Hamaare Kisi Tarah Na Hue,
Varanaa Duniyaa Me Kyaa Nahi Hotaa.
.
Naarasaai Se Dam Ruke To Ruke,
Mai Kisi Se Khafaa Nahi Hotaa.
.
Tum Mere Paas Hote Ho Goyaa,
Jab Koi Duusaraa Nahi Hotaa.
.
Haal-e-dil Yaar Ko Likhu Kyo Kar,
Haath Dil Se Judaa Nahi Hotaa.
.
Kyo Sune Arz-e-muztarib Ae 'Momin',
Sanam AaKhir Khudaa Nahi Hotaa.




*

aasim07 14.06.11 - 12:42pm
nyc ghazals rahebar n sohel bhai. *

shahbaz4 14.06.11 - 12:59pm
very nice ghazal rahebar &sohel ji *

rashmee 15.06.11 - 09:23am

MERE TOOTE HUE DIL KO , SAHARA
KON DEGA
MERI TOOFAAN ME KASHTI , KINARA
KON DEGA
YEH KESE MOR PE LAAI HA MUJKO
ZINDIGANI
ADHOORI SEE LIKHI GYEE HA KYUN
MERI KAHANI
HA AB KIS RAAH PE CHALNA ISHARA
KON DEGA
MERE TOOTE HUE DIL KO SAHARA
KAUN DEGA
MAIN HOON OUR SATH MERE AB
MERI TANHAAYAN HAIN
MERI TAQDEER SE MUJKO MILI
RUSWAYIAN HAIN
MERI ANKHON KO KHUSHION KA
NAZARA KAUN DEGA
MERE TOOTE HUE DIL KO SAHARA
KAUN DEGA. *

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* Jannah Forum


Search:
topics replies


* Jannah

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store