Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

Jannah - Topics
Create Your Own App Store

* Jannah > Topics


Subject: Sahee Hadees
Replies: 30 Views: 791

sohel77 19.05.11 - 06:09pm
Doston is topic me hum sahi hadees post kar sakte hai lekin hadees mustanad honi chahiye aursaath main uske neeche uske refrence hona chahiye. ..
Aur sab se aham baat mere doston ke ye topic hum logo ke ilm main izafe ke liye banaya gaya hai na ke bahes karne ke liye to meri sabhi members se adban guzarish hai ke aap sab log bhi yaha hadees share kare aur padhe bhi aur zyada se zyada amal karne ki koshish kare.
*

smam 19.05.11 - 06:11pm
Hadith7.jpg *

aysha111 19.05.11 - 07:56pm
MashaAllah sohel ji. Aapne bahot he pyara topic banaya hai,, Allah aapko jaza e khayr de. Lekin aapko pahle hadith ki defination ka topic banana tha aur samjhana tha ki hadith kiya hoti hai aur kitni tarah ki hoti hai. Khair InshaAllah mai hadith ki defination aur catogery ka topic banaungi. *

aysha111 19.05.11 - 09:26pm
Mene ''The Science of Hadith'' ke naam se topic bana diya hai. *

rahebar 20.05.11 - 04:32am
sohel bhai bahot acha topic banaya aap ne.
MashaAllah jazakallah.

*

shahbaz4 20.05.11 - 04:41am
nice topic *

sohel77 20.05.11 - 05:44am
Rasul allah (S.A.W) ne farmaya k sab se bada gunah ye hai k tu allah k sath kisi ko sharik kare hanlake is ne tujhe paida kiya.(bukhari,muslim) *

sohel77 20.05.11 - 05:46am
......Rasul allah (S.A.W) ne farmaya k sab se bada gunah ye hai k tu allah k sath kisi ko sharik kare hanlake is ne tujhe paida kiya.(bukhari,muslim) *

rahebar 20.05.11 - 07:53am
Mohammad S.A.W ne farmaya....
Allah talah ki do niamatein aisi hain jin ki aksar loog qadar nahi karte aur in ko barbad karte hain,
Ek tandrosti, aur dosri Faraqat. Bukhari
.

********************
*

rahebar 20.05.11 - 08:02am
Rasul Allah (S.A.W) ne farmaya,

Saadha zindagi guzar na Imaan ki alaamat hai. (Abudaud)
.

////////////////////// *

aasim07 20.05.11 - 10:02am
Gud topic and post. *

sohel77 20.05.11 - 08:49pm
Rasul allah (S.A.W) ne farmate hain k jo koi is hal me marenga k wo allah k siwa kisi aur ko pukarta ho to wo jahannum me daqil hoga.(sahee bukhari) *

sohel77 21.05.11 - 07:17am
..Rasul allah (S.A.W) farmate hain k us waqt tak qayamat barpa nahi hogi jab tak k meri ummat k kuch qabail mushrekin k sath na miljaye yahatak k buton ki ibadat shuru karde. (tirmizi) *

sohel77 24.05.11 - 07:35am
Ek sahabi ne yun dua ki k aye Allah mai tujh se sawal karta hun iss bat k wasile se k mai gawahi deta hun k beshak tu hi Allah hai.tere siwa koi maabud nahi tu akela hai. beniyaz hai.teri koi aolad nahi aur na tu kisi ki aolad hai aur na koi tere baraber hai...
Rasul Allah (S.A.W) ye sub sun rahe the aap ne farmaya iss zaat ki qasam jis k khabze me meri jaan hai iss shakhs ne Allah se iss ke isme azeem k wasile se dua ki jo shakhs iss wasile se dua karega Allah khubul farmayega aur jo mangega Allah zarur dega.(tirmizi)
*

sohel77 25.05.11 - 07:12am
******Rasul allah (S.A.W) ka irshad hai.
Allah apne bande ki madad us waqt tak karta raheta hai.jab tak banda apne bhai ki madad karta hai.(muslim) *

sohel77 4.06.11 - 12:57pm
..Rasul Allah (S.A.W) ne farmaya Allah ki khasm! Khuda agar tumhari rahenumae se ek shaqs ko bhi hidayat de de to ye tumhare liye surkh unton (camel) se bahetar hai.
(Abu dawood)
*

aysha111 5.06.11 - 01:53am
May Allah swt bless u sohel ji. *

01awan01 5.06.11 - 01:55pm
Hazrat MAAz bin Ans(R.A) se riwayat hy k Jan_e_Do AAlam(S.A.W)NE FARMAYA JIS NE KISI BAD DEEN MUNAFIK K SHAR SE KISI BANDA_e_MOOMIN KI HIMAYAT KI TO ALLAH TAALA QYAMAT ME AIK FARISHTA MUQARAR FARMAEY GA JO US K GOOSHT YENI KO AATISH_e_DOZAKH SE BCHAEY GA.AUR JIS KISI NE KISI MUSLMAN BANDY KO BADNAM KARNY YA GIRANY K LIYE US PAR KOI ILZAM LGAYA TO ALLAH TAALA USKO JAHANAM K PUL PAR QAID KAR DEy GA.US WAQT TAK K LIYE K WO APNY ILZAM KI GANDGI SE PAK SAF HO JAEY...(SUNAN ABI DAOOD) *

01awan01 5.06.11 - 02:01pm
Hazrat Aoos Bin Aoos(R.A) farmaty hn k Rasol Allah(S.A.W) ne irshad farmaya k.... jo shakhs JUMA k roz in 7emal ko baja laeyga..usy har qadam par 1 sal Nafli Rozy aur Raat ki Ibadat ka Sawab mily ga..Wo 7 eimal ye hein.... 1: Gusal karna .. 2:Achy saf suthry kapry pehn'na.. 3:JUMA k liye jaldi karna... 4:Masjid ki taraf peidal jana.. 5:Imam k qareeb yeni pehli suff me beithna... 6:Khamoshi se khutba sun'na.. 7:Khutby k doran koi laghu kaam ya bat na karna ..(Tirmazi_ Abudaood) *

aysha111 5.06.11 - 03:08pm
MashaAllah and jazakAllah *

rahebar 5.06.11 - 03:09pm
MashaAllah bhai Allah aap ko jazaiqair de. *

01awan01 5.06.11 - 03:36pm
Mafhoom e hadees e Nabavi(sallallaho alaihe wasallam)
Ghussa karna shaitan say hai aur shaitan aag say paida kia gaya hai aur aag pani say bujhaae jati hai. Jis waqt tum may say kisi ko ghussa aye chahiye k wuzu karay.
(Mishkaat,j2,h4884-Abu Dawood)
*

01awan01 5.06.11 - 03:57pm
HAZRAT MUHAMMAD (S.A.W.W) Nay Farmaya: Jo Apne Waldain K Liay Dua Karna Chorr De, Uss K Liay Rizk Tang Ker Dia Jata hai.
*

01awan01 5.06.11 - 06:33pm
Rasool akram(s.a.w.w)ka farman hy.
kisi basti me jb 3admi mojud hn.or wo Ba jamat Nmaz Ada na krin tou un pr Shytan Ghalib aa jata hy.so tm jmat k sath raha kro.Q k bhyrya usi bakri ka shikar krta hy jo rewar se alag ho jati hy.(sahi abu Daoud
pg.396)
*

sohel77 12.06.11 - 05:39pm
Zubaan ko (galat istemaal se) roko, narmi ikhtiyar karo, sakhti aur bad zubaani se apne aap ko bachaao (bukhari: hadees no 6401.mafhoom) *

sohel77 15.06.11 - 07:22am
Hazrat moghera bin shoba se riwayat hai k Rasul Allah (S.A.W) k zamane me khas us din.jis din k aap (S.A.W) k saheb zade (bete) Ibrahim ka inteqal hua,suraj grahan laga to baz logo ne kaha k, suraj ko ye grahan Ibrahim k inteqal farmane ki wajah se laga to Rasul Allah (S.A.W) ne farmaya k suraj sun.GIF aur chaand (moon) ko grahan kisi ki maot wo hayat ki wajah se nahi lagta. Pus jab jab tum aisa dekho to Allah k huzur me Namaz padho aur khud dua karo. (bukhari) *

aysha111 15.06.11 - 07:24am
JazakAllah *

sohel77 30.06.11 - 01:38pm

Imam- Ul-Ambia Hazrat MUHAMMAD
SALLALLAH -O - ALAIHE WASALLAM
Ghar Tashrif Laye To Roti Ka Tukra
Gira Hoa Dekha
AAP SALLALLAH - O -ALAIHE WASALLAM
Ne Usey Utha Kar
Saaf Kiya Or Kha Liya Or Farmaya :
Aye AYESHA
Izzat Dar Cheez Ki Izzat Karo
Jab ALLAH AZZAWAJAL
Kisi Qoam Ka Rizq Chhin Leta Hai To
Wapis Nahi Karta
(IBN - MAJA )
Jild No -2
Hadees-1142 . *

sohel77 2.07.11 - 10:46am
AAP SALLALAHO ALHE WASALLAM ne LAANAT Farmayi Uss Mard Par Jo Aurat ka Libas Pahne aur Uss Aurat Par Jo Mard ka Libas Pahne.
Abu Dawood
*

suleman1 3.07.11 - 07:01pm
you must add hadith number and from which book it is belong *


* Reply
* Jannah Forum


Search:
topics replies


* Jannah

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store